Matka Fantasyเคฎเคเคเคพ เคซเฅเคเคเฅเคธเฅ ยท เคซเฅเคฐเฅ เคเฅเคฎ
Roz har market mein 100 free coins. Ank, jodi ya panna chuno. Number sahi aaya to matka rate se coins jeeto aur leaderboard mein upar aao.
Koi paisa nahi lagta, koi paisa nahi milta. Sirf maza aur badges.
Aaj ke games
Market par tap karo aur apne number chuno.
3 aasaan step
- Market chuno
Jaise Kalyan ya Main Bazar. Har market mein aapko 100 free coins milte hain.
- Number par tap karke coins lagao
Ank, jodi ya panna. Jitne number chahiye utne chuno. Phir Save karo dabao.
- Result ka intezaar karo
Number sahi aaya to coins jeetoge. Sabse zyada coins wala sabse upar.
Sahi number par kitne coins?
Jitne coins lagaoge, sahi hone par utne guna milenge.
| Open ya Close Ank | ร9 | 10 lagao โ 90 |
| Jodi | ร90 | 10 lagao โ 900 |
| Single panna | ร140 | 10 lagao โ 1,400 |
| Double panna | ร280 | 10 lagao โ 2,800 |
| Triple panna | ร700 | 10 lagao โ 7,000 |
Is hafte ke top players
26 Oct se 01 Nov tak, saare market jodkar.
Badges jeeto
Hafte ke top 3 ko forum mein naam ke saath ๐ฎ badge bhi milta hai.
Doston ke saath khelo
Apna contest banao, link WhatsApp par bhejo, aur sirf apne group ka leaderboard dekho.
Contest banao ya join karoSawal jawab
Kya Matka Fantasy free hai?
Haan, poora free hai. Koi entry fee nahi, koi paisa nahi. Coins free milte hain, khareede nahi ja sakte aur paise mein badle nahi ja sakte. Coins sirf leaderboard mein aapki jagah batate hain.
Kitne coins milte hain?
Har market ke game mein roz 100 free coins. Bache hue coins agle din nahi jaate, agle din phir naye 100 milte hain. Isliye koi bhi aaj number 1 ban sakta hai.
Number kab tak chun sakte hain?
Open Ank, Open Panna aur Jodi market khulne ke time tak. Close Ank aur Close Panna market band hone ke time tak, yaani open result dekhne ke baad bhi badal sakte ho.
Winner kaise banta hai?
Jisne sabse zyada coins jeete, woh sabse upar. Barabar coins hon to jisne pehle save kiya woh upar. Weekly leaderboard mein Monday se Sunday tak saare market ke coins jude jaate hain.
Jeetne par kya milta hai?
Badges: ๐ din ka winner, ๐ฅ๐ฅ๐ฅ hafte ke top 3, ๐ฏ jodi hit, ๐ panna hit aur ๐ฅ 7 din lagatar. Hafte ke top 3 ko forum mein naam ke saath ๐ฎ badge bhi milta hai. Paisa nahi milta.
Koi paisa maange to?
Matka Fantasy mein kabhi paisa nahi lagta. Agar koi aapse is game ke naam par paise maange to mat dena, woh dhokha hai.
Matka Fantasy sirf maze ke liye free game hai. Coins ki koi paise wali value nahi hai, inhe khareeda ya becha nahi ja sakta.